Recovery & Custom ROM
Android Bootloader, Kernal , Recovery & Custom ROM Kya Hota hai
Dosto
aajkal smartphones ka zamana aa gya hai. Aur smartphones me sbse jyada jo
Chhaya hua hai wo hai Android phones. Aise me hume Android phone se related
kuch aise terms hai jinko jaanne ki उत्सुकता hoti hai
. Toh iss post me mai aap logo ko Android se hi related kuch aise terms
bataunga jo aapne kahi suni toh hogi lekin shayad hi iske bare me detail se
pata hoga.
Android BootLoader
Dosto Bootloader ek aisa code hai jo phone ko start karte time par Run hota hai. Bootloader aapke phone ki system files, missing files ko check karta hai . Aur uske baad bootloader aapke phone ko on karta hai . Bootloader 2 type ka hota hai .
Dosto Bootloader ek aisa code hai jo phone ko start karte time par Run hota hai. Bootloader aapke phone ki system files, missing files ko check karta hai . Aur uske baad bootloader aapke phone ko on karta hai . Bootloader 2 type ka hota hai .
Bootloader
ko unlock krne ke baad hi hum apne android phone me custom ROM install kar skte
hai ya Kernel Change kar skte hai. Lekin locked bootloader me ye sb karne
ki permission nahi hoti hai. Aur maximum phone ki companies bootloader ko
locked hi rakhti hai kyuki company yah nahi chahti ki unke phone me custom ROMya
Kernal change ho.
Kabhi
kabhi phone ko flashing ya custom ROM install karte samay koi file miss ho jati
hai tb bootloader thik se Run nahi hota hai aur aapka phone booting mode me hi
rhta hai .
Android me Kernel Kya Hota Hai:-
Friends
agar hum baat kare Kernel ki baat kare toh yah sabhi systems ke operating
system se connected hota hai. Kernel sabhi tarah ke OS jaise Android , Windows
,MAC ,Blackberry etc me hota hai. Kernel ka kaam yah hota hai yah phone ke
Hardware aur Software ke bich me ek connection provide karaata hai .
Jaise agar kisi software ko kisi Hardware ki jarurat hoti hai toh wah kernel ke
dwara hi kiya jata hai.
For
Example- Agar hum koi music play karte hai toh uske liye hum uss
music file par Tap karte hai toh music software kernel ko request bhejta
hai ki usko Speaker ki jarurat hai .Fir kernel uss software ko speaker ko use
karne ki permission deta hai.
Aur
agar aap apne phone ke kernel ko change karte hai toh isse aapke phone ke
performance ko badha skte hai ya slow kar skte hai .
Android Recovery Kya Hai:-
Recovery
ek aisa software ya tool hai jo sabhi phones me hota hai . Recovery 2 tarah ki
hoti hai :-
·
Stock Recovery
·
Custom Recovery
Stock
recovery phone company dwara sabhi phones me provide hoti hai. Aur uss recovery
ki madad se aap apne phone me official ROM ko flash kar skte hai yaa fir aapke
phone me jo ROM hai uska backup le skte hain. Aap apne phone koformat ya wipe
kar skte hai. Ye sabhi kaam aap Stock Recovery se kar skte hain.
Lekin
agar aap apne phone me custom
recovery flash karte hai . Custom recovery ki
help se aap un chizo ko flash kar skte hai jo aapko stock recovery me
permission nahi milti hai . Phone ko root karne ke liye ya phone ko aur jyada
advance bnane ke liye aapko custom recovery ki jarurat padegi.
ROM kya hai:-
Waise
toh ROM ko hum log bolte hai Read Only Memory .Lekin sirf itne se hume iske
bare me kuch pata nahi chalta hai. ROM ka matlab yah hai ki aapke phone ka pura
system file ya job hi basic software hai ya jab aap pehli baar apne phone
ko ON karte hai toh jitni chize milte hai wo sab chize ROM me install hoti hai.
Inn sab system software ko hum bss read kar skte hai lekin usko delete ya
change nahi kar skte hain.
ROM
bhi 2 tarah ki hoti hai:-
·
Stock ROM
·
Custom ROM
Custom
ROM wah ROM hai jo Google dwara provide kiye gye ROM ko kisi phone ki company
dwara modify kiya hua rhta hai . Isiliye hume alag alag company ke phone ka
Interface alag alag milta hai. Cutom ROM ke dwara hum apne phone ke options me
changes la skte hai .Lekin Stock ROM me hum koi changes nahi kar skte.
Ye
custom ROM alag alag developers apne hisab se develop karte hai . Kyuki jo
basic ya stock ROM hota hai wo thoda km attractive hota hai.
Flashing Kya hoti hai :-
Dosto Flashing ek installation
process hai jo phle wali file ko replace kar deti hai. Normally jab hum koi app
install karte hai toh wo app OS ke upar hi install hoti hai .Lekin jb koi ROM
install karte hai toh wah purane ROM ko replace kar deti hai .Isi ko flashing
kaha jata hai.
........................................Thank You......................................................
Recovery & Custom ROM
Reviewed by RAKESH SAINI ( SAINI G )
on
February 23, 2018
Rating:
No comments: