HTML
Detils of HTML
10. Free Or Paid Plain Me Kya Aantar Hai
HTML से वेबसाइट कैसे बनाते है पूरी जानकारी
Hello
friend Aaj is post me mai aap ko ye bataunga ki html se website kaise banate
hai or uske liye kya kya karna jaruri hota hai. Or sath hi sath mai html ke
sabhi basic concept ko aap ko bataunga jinko janna aapke liye bahut jaruri hai
website design karne se pahale.To chaliye pahale ye jan lete hai ki html
kya hai.
1. HTML Kya Hai
Html
ek programming language hai jiska pura nam HYPER TEXT MARKUP
LANGUAGE hai. HTML ka use ham static website ke development ke
liye karte hai . HTML ek bahut hi easy programming language mani jati hai
website design karne ke liye.
2. HTML Ke Program Ko Kisme Banaya Jata Hai
html
ke program ko banane me Notepad ka use kiya jata hai .
3. HTML Ke Program Ko Save Kaise Kare
html
ke program ko notepad pe banane ke badh second step aata hai us program
ko save kane ka html ke program ko save karne ke liye ctrl+s press
karne par Save As ka popup window open hoga usme hame hamare dwara banaye
gaye program ki file ko koi nam dena hai uske badh .html likh
ke kisi bhi location me save kar sakte hai mere hisab se aap ko us file ka
location desktop select karna chaiye or location ko select karne ke
badh save par click karde uske badh aap ka html ka file save ho jayega.
4. HTML Ki File Ko Kaise Run Kare
html
ki file ko run karne ke liye browser ka use kiya jata hai
browser jisme net upyog kiya jata hai use internet browser kahate hai
jaise Google Chrome, Internet Explorer, Mozilla
Firefox, ye tino browser ke example hai jo ki bahut important hai
internet ke upyog ke liye aap kisi bhi ek browser ka upyog karke aapke dwara
banaye gaye html ke program ko run kar sakte hai.
5. HTML Ki File Ko Run Karne Ke Liye Kya Kare
Html
ki file ko run karne ke liye hame hamare program ko jo hamne banaya hai
us par double click karna hai fir hamara Html ka program browser me
open(run) ho jaye ga. Open hone ke badh aap ne jis prkar ki bhi coding ki hogi
us ka output aap ko web page pe najar aayega. Mai aap ko Html se
website design karne ke liye puri coding bataunga lekin is post me ham ye
jan lete hai ki Html ki website ko banane ke fahayde kya kya hai or website design
hone ke badh ham website ko server par kaise upload karte hai uske kitne paise
lagte hai.
6. HTML Se Website Design Karne Ke Kya Fayde Hai
jaisa
ki aap jante hai hamara india digital hone laga hai or har jagah online works
shuru ho gaye hai chahe kisi bhi field ki bat kare har field me aaj kal
internet ke user ki sankhya badh rahi hai har product online bikne laga hai or
isi ke sath sath website designer ki mang bhi bahut badh rahi hai aaj kal sabhi
business karne walo se lekar aam logo tak website banwana chahate hai or paisa
kamana chahate hai to iske liye ye jaruri ho jata hai ki aap aagar html se
website desing karna sikh jaye to aap aapna khud ka website design kar sakte
hai or paise kama sakte hai or aagar aap ko website design karna ek bar aagaya
to aap bahut hi aasani se paise kama sakte ho ghar baithe. aap ko kahi job ke
liye jane ki jarurat nahi hai aap itne paise ghar bahithe kama sakte ho ki aap
ko job par jane ki jarurat nai padegi. Aap kisi or ke liye bhi website
design kar ke paise kama sakte ho. Maine is post me kosis ki hai ki html se
related sbhi basic knowledge aap logo se share kar saku mai html ke fayde ke
upar ek post or likhunga jime html se paise kamane ki puri jankari hogi ek ek
step jisko follow karke aap aaram se paisa kama sakte hai par mai is post me
html ki basic jankariya aap se share kar rha hu jo ki bahut important hai aap
ke liye. Html ki website ko server par upload kaise kare ye jan lente
hai.
7. HTML Ki Website Ko Server Par Kaise Upload Karte Hai
html
ki website ko server par upload karna bahut easy hota hai to chaliye ye
jan lete hai ki upload karne ka process kis type or kis tarah ka hoga to sabse
pahale ye janle ki html ki file(webpage) ko upload kaise kiya jata hai mai
website ko upload karne ke liye ek or post likhunga jisme ye puri janakri hogi
par mai is post me aap ko html ki website ko upload karne ka basic tarika bata
raha hu taki aap ko iske bare me kuch jankariya mil sake. Kyu ki ye meri html
ke upar pahali post hai to mai is post me html se related sabhi topic ki kuch
kuch basic jankariya de rha hu taki aage aap ko puri coding bataunga to
aagar aap basic ko thoda bahut jan loge to aap ka interest aacha rehega
programming karne me is liye mai kewal is post me basic jankariya share kar raha
hu. aap ko mai html ki website ko internet par upload kaise kare ke upar ek
pura post likhunga jisme step by step bataya gya hoga par abhi mai basic bata
raha hu to html ki website ko server par upload karne se pahale html ke pages
jo ki aap ke local system me bani hongi unhe ek folder me rakhiye. Mere kahane
ka matlab tha ki aap jab bhi html ke program banayenge unhe run karne ke badh
aap ko computer pe ek folder me rakna hai kyu ki aap ne jo programs banaye
honge woto kewal webpages honge website nahi to sabhi ko ek folder me rakh de
or mai aap ko bata du ki abhi jab aapke pass kewal web pages honge or jap
aap un sabhi webpages jo html se bane honge unko internet ke dwara server
par upload kroge tab wo web page ka collection ho jaye ga. Matlab webpages ke
collections ko website kaha jata hai jo mai aap ko batata hu ki html se
bane hue webpage ya html ke program jinko aapne banaya hai unko upload kane ke
liye kis software ki jarurat hogi .
8. HTML Se Bane Programs Ko Server Par Kaise Upload Kare
maine
aap ko pahale bhi bataya tha ki aap jo bhi program banaoge wo web page ki
tarah aap ke local system me show honge or unko aagar aap internet ke madhyam
se server par upload karna chaho ge jisse aap ki site ko duniya ke kisi bhi
kone se access kiya ja sake to iske liye ye important hai ki aapne html se
jitne bhi program banaye hai sabhi server par upload ho taki koi bhi user
us data ko access kar sake jo aapne apne webpages me di hai. Is ke liye aap ek
software ko use kar sakte hai or ye software internet par available hai use aap
free me download kar sakte ho jiska nam hai Filezilla is
software ko download kar lene ke badh aap ke dwara banaye gaye html
ke programs ko jo ki web page ki tarah show ho rahe haonge unko server par
upload kar sakte hai mai is bare me ek post likunga jisme step by step aap ko
jankari milegi html ke programs ko server par upload karne ki.
9. HTML Se Banaye Gaye Web
page Ko Server par Upload Karne Ke Kitne Paise Lagte Hai
Aagar
aap ne aapna webpages ka collection taiyar kar liya hai internet par upload
karne ke liye to iske liye maine ek software ka nam bataya tha uska nam
hai Filezilla is software ka upyog karke aap aapne
webpages ko free me or paid dono tariko se upload kar sate ho. Sabhi wab pages
ko upload kane ke badh hi aap ki website complete hogi. Or sabhi webpages aap
ki site ke domain name se access honge.
free
ke plain se aap ke HTML ka program server par upload kiya to ja sakta hai lekin
aap ko aap ki site ka domain name kuch bhi milega aap ki pasand ka domain lene
ke liye aap ko paid karna hoga.
11. DOMAIN NAME Kya Hota Hai
domain
name matlab kisi website ka nam hota hai jaise hindimenotes.com ye hamari
website ka nam hai jo meri pasand ka hai ise maine kharida hai wayse hi aap ko
aagar aap ki pasand ka domain name aapki website ke liye chaiye to aap ko iske
liye domain name karidna hoga iske liye kuch jada nai thode paise lagte hai
jaise 299 par year. Or aagar aap ko free me domain chaiye to iske liye aapko
bina aap ke pasad ka domain milega jaise example ke liye abc.tk,
abc.weebly.com etc.
12. Server Kya Hai
maine
aap ko ye to bata diya ki html se bane web page ko server par kaise upload
karte hai lekin ye nai bataya ki server kya hai to mai aap ko bata deta hu ki
server ek parkar ki host site hoti hai jaha aap aapni website ko rakhte ho jaha
ek bar aap ki site upload ho jane ke badh aap ki site ko interner ke madhyam se
kahi se bhi access kiya ja sakta hai to iske liye maine jo software aap ko
bataya uski madad se aap upload kar sakte ho isme bhi aap ko free me upload or
paid upload ka option melta hai aap ko jis tarah se aapne website ko upload
karna hai aap wayse upload kar kate hai.
........................................................Thank you....................................................
HTML
Reviewed by RAKESH SAINI ( SAINI G )
on
August 20, 2017
Rating:
No comments: