Ek Mobile Me 2 Account Use karna

                           2 Account Use Krana


Hello Friend's aaj me aap sabi ko esi trick batane ja rha hu jo bahut hi usefull hai. es trick ke jariye aap apne mobile me ek sath 2 what's app , instagram, ya facebook chala sakte ho. friend's ye app bilkul hi puri tarha se legal hai.


Step 1. :- sabse pahale aap play store se Parallel Space Multiple Accounts app install kr le.




Step 2.:- ab es app ko open kre. Ab aapko iss app me ek “+” ka button milega us pr click kr de.

Step 3.:- ab aap ko jis aap ka 2-2 account chalana hai us app ko add kr de.
me yaha aap ko instagram add krke dikha raha hu.


Step4.:- Ab instagram ki ek copy ban jati hai aur uspe click karne ke baad aapko login karne ke liye bola jayega . Agar aapke pass instagram ke 2 login hai toh aap dusre wale login detail ko daal skte hain.




Friend's ye toh process tha ki 2-2 id ek sath kaise chalaye . Lekin baar baar iss Parallel Space app ko open karke dusre account ko access karna thoda boring ho skta hai . Isliye jis bhi account ko aapne multiple kiya hai uska shortcut Home par lane ke liye aapko uss app ko drag ( Khich ) karke niche “ Create Shortcut “ par chhod dena hai . Jaise ki niche picture me dikh raha hai . Ab aap isko direct home screen se bhi access kar sakte hai jaise phle wale account ko karte hain . 

Friend's agar aap ko meri ye post pasand aayi to ese share or like kre




       .........................................Thank You...................................

Ek Mobile Me 2 Account Use karna Ek Mobile Me 2 Account Use karna Reviewed by RAKESH SAINI ( SAINI G ) on February 23, 2018 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.