Folder ya file ko kese hidden kare
Android mobile phone me folder or data ko bina kisi apps ke keise hide/unhide karte hai
Kabhi aisa hota hai ki hamari kuch files jese image,videos,ya or kuch important data chupana chahte hai kisi ko bhi share karna nahi chahte hai aise me hamare liye kisi application ki jarurat hoti hai or application ki madad se ham folders ya or koi jaroori data hide kar bhi dete hai lekin kabhi kabhi aisa hota hai ki memory kam hone ki bajah se phone hang hone lagta hai jiske bajah se kuch application delete karna chahte hai to aap data hide karne bali application ko delete kar sakte hai or hamari trick se data hide kar sakte hai or ek important baat ki kabhi kabhi phone hang marne ki bajah se junk cleaner ya aesi or kisi application ka istemal karte hain jiske bajah se application se hidden kiya data delete ho jata hai hamari trick se hide kiya hua data delete nahi hoga or nahi phone hang marega to ab aap data chupane ke liye steps by steps follow karen
1.file manager open karen
2.jis file ko hide karna hai usko rename karen
3. File ka jo bhi name hai uske aage dot (.) Laga deinge fir
4. Save kar dena deinge
Example ke liye hamari file ka name Rakesh hai to uske aage dot laga deinge jese .Rakesh or save kar denge file hide ho jayegi
Jab file ko dekhna ho to file manager open karen or file manager ki setting mein jaye setting me show hidden files ke option par click kar dein jahan par file thi bahin par dekh jayegi
..............................Thank You...................................
Folder ya file ko kese hidden kare
Reviewed by RAKESH SAINI ( SAINI G )
on
June 23, 2017
Rating:
No comments: